गुरुवार, 10 दिसंबर 2009

नाज़ुक

Pyar se pyara pyar ke izhaar ko kahte hai
Isske bina to pyar adhure aur bekar lagte hai
Ye shishe ye sapne ye rishte aur ye dhaage
Kisse kya khabar kanha toot jaate hai
Pyar ke dariya me tinke wafa ke
Na jaane kis mod par doob jaate hai
Phoolo se bhi nahuk khaylo ki kaliya hai
Gulo ki chhah me kanto ke bhi raste hai
Ajeeb hai dil ki basti ajeeb hai dil ki vaadiya
Har ek mod-e-mausam nai khawaisho me baste hai
Muraadao ki manzil ke sapno me khooye huye
Mohabbat ki raahoo me hum nikal pade hai
Tujhe hi dil se chahaa tujhe hi pooja dil se
Thaam ke dil tere hi raaho me hum aaj bhi khade hai
Rawayate hai shayad ye shadiyo poorani
Shikayat nahi hai koi tujhse ye to jindagi ki siddate hai
Ahal-e-wafa karo fir bhi gila sang rehta hai
Shakh-e-gulab ke khar nazuk ungliyo ko chubh hi jaate hai
*
*

खवाब

Subah aai hai badaao se rihaai laai hai
Badla hai mausam khawab ki taameer aai hai
Aaya hai sukun jaise jalte huye sehra me
Sang barf ke thandi hawao ke jhoonke aaye hai
Chal pade hai hum bhi shuq-e-beparwah
Ab rasta pur-pech hai ya pur-khartar jaisa bhi hai
Gawaraa hai ab to thakan saari dukhan saari chubhan
Tamanna ek khooshbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
Us ko mujh se mujhko usse nisbaten hai besumaar
Sara-e-chahat ka hai mahavar ye sheher jaisa bhi hai
Barf .snow; Pur-pech winding;
Pur-khartar ..dangerous; Nisbaten .expectation
Mahavar ..focus ; Sheher city

MERİ कवितायें

Subah aai hai balaao se rihaai laai hai
Badla hai mausam khawab ki taameer aai hai
Aaya hai sukun jaise jalte huye sehra me
Sang barf ke thandi hawao ke jhoonke aaye hai
Chal pade hai hum bhi shuq-e-beparwah
Ab rasta pur-pech hai ya pur-khartar jaisa bhi hai
Gawaraa hai ab to thakan saari dukhan saari chubhan
Tamanna ek khooshbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
Us ko mujh se mujhko usse nisbaten hai besumaar
Sara-e-chahat ka hai mahavar ye sheher jaisa bhi hai
Barf .snow; Pur-pech winding;
Pur-khartar ..dangerous; Nisbaten .expectation
Mahavar ..focus ; Sheher city

मेरी कवितायें

Khush naseeb hu mai ki mila hai tu mujhe
Iss jindagi ke safar me jaise mila sathi ek anmol mujhe
Gumo ke badalo ne bhi tha kabhi ghera mujhe
Inn badalo ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe
Meri kismet me isse pahle itni khushi kabhi na thi
Milke mujhse tune meri jindagi se ru-b-ru kara diya mujhe
Guzar rahi thi jab jindagi meri ek imtahaan ke daur se
Deke sath tune dard ko bhoolana sikha diya mujhe
Roye hai hum bhi bahut to thoda kraar aaya hai dil ko
Du shukriya tujhe ki mere pyar se mila diya hai tune mujhe
Duur ho rahi hu tujhse mai bhi jaanti hu
Shayad tere bahut kareeb la diya hai ye faasla mujhe
Ab ye zamana kuchh bhi kahe gum nahi mujhe
Ab to ek atuut rishte me baanth liya hai tumne mujhe
khaye the jakham jin rishto ke iss dil par kabhi
Uahi rishta jood ke tujhse mil gaya hai ek marhum mujhe
SARA


ISS ANJUMAAN ME……………..!

Gulo ki aarzu me bade zakham khaye hai
Lekin chaman ke khaar bhi ab tak paraye hai
Apne hatho apne hi chaman me khaar bhi laaye hai
Phoolo ke sath dil ke jakham bhi muskuraaye hai
Mahasar me le gai thi tabiyaat ki sadagi
Lekin baade khuluus se hum bhi laut aaye hai
Teri yaad ke sath mere aankh bhi bhar aaye hai
Ek tujhe paane ki chahat pal pal dil ko tadapaaye hai
Kyu tadapte hai phalak aur zameen milne ko
Iss anjuman me to bas unke hi pyar ke saaye hai
Nazuk phoolo se bhi kanto ke jakham khaye hai
Apne ho kar bhi kyu aap lage mujhe paraaye hai
Zamane me ahal-e-dard apne bhi hai praye bhi
Ek teri tamanna me hum to ye safar tay kar aaye hai
Mahasar (day of judgement)
SARA

BARFILI HAWAO ME……………!

Sham se aashqo ka sath nibhaya badalo ne bhi
Subah kya aalam hoga isski to hume khabar bhi na thi
Dil ki mitti ke sath zamee ki mitti bhi hogi nam
Kudrat bhi sath nibhajayegi aisi to meri soch na thi
Toote aaine ke tukdo me har aks dhale the alag alag
Ek surat ke honge itne rang aisi to pahle meri nazar na thi
Sard hawao ke sath jakham ko wo phir taazaa kar gaya
Dard-e-dil yu tadap udhega mujhe aisi to koi umeed na thi
Chalte chalte raah me milengi surkh dhoop ki garmiya bhi
Barfili hawao me itni chubhan to aaj se pahle kabhi na thi
SARA


ASHKO KE SAILAAB ME………………..!

Shakh se girte patto ne dil ko kuchh yu tadpa diya
Beete lamho ko jaise aaina deekha diya
Jakhmo ko kureda ho jaise kissine
Hawane jaane kaisa rukh dikha diya
Waqt badlta raha jakham seene me palta raha
Tanhaaiyo ne aaj usse bhi yaad dila diya
Wo mausam-e-bahar lautega ya nahi
Kudarat ne dil me aaj ek aas bhi jaga diya
Safar abhi lamba hai bahut jaanti hu mai bhi
Uske intzar ne aaj dil me ek diya bhi jala diya
Wo bachpan jiski khamosh ho chuki thi jubaani
Koi rehguzar aake usske kabr par aaj chadar bhi chada gaya
Anjaane hi sahi jaane kyu aaj ye dil kitna majboor ho gaya
Ashko ke sailab me usski yaaden bhi baha gaya
SARA

USKI HASRAT……………..!

Uski hasrat hai samne bitha ke dekheun
Mai mukhaatib hu aur tera haal bhi phoochhun
Seene me chhupi hai aag mulaakaat ke khawaisho ki
Mehandi lage haatho me tera naam chhupa ke rakhun
Tu ashq hi ban ke sama ja meri aankho me
Chahat to bas itni hai mai aina dekhu to tera aks hi dekhun
Aye ishq-e-mohabbat poochhu inn gucho sitaro aur hawao se
Tujhse hi magar aake kabhi tera naam naa poochhun
Aye mere tamanno ke sitare tu bas yu hi roushan rahe
Tere aane tak to mai ye jism shab-e-gum ko na saupun
Ek teri hasart hi meri mukaam hui hai
Poochhoun khuda se bhi to tere siwa kuchh na poochhu
Ishq jaalim hai jaan pe ban aai hai jaan ke bhi
Ab jindgi-e-safar ko kya padhun padhun to bas tere hi naam ka kalma padhun
SARA

NA KOI GILA KARO………………..!

Na shikayat na koi gila karo
Bas yu hi tum mujhe dekha karo
Meri aankho me bas tum raha karo
Aur tum mujhse yu hi baante kiya karo
Meri hatho ki hatheli me
Henna ki khushbu ban tum mehka karo
Meri chunar ke sitare ban ke
Tum mera roop shrigaar karo
Jab bhi kabhi ye dil roye bepanah
Aur kabhi ho jay betahaasa udas
Kabhi chupke chupke dabe kadmo se
Mere peechhe se aakar mujhe hansaaya karo
Meri kurbatein meri chahtein
Tu yaad kare har-pal har-kadam
Apne har gum ko mujhe deke
Bas yu hi har pal tum muskuraya karo
Aaj hu mai tere pass agar kal
Mai tavil safar me rahu kabhi
To mere laut aane tak tum intzaar karo
Tu pyar hai mera sansaar hai mera
Tu mera hai mera hi rahe
Bas itni iltza hai tujhse aye mere hamdam
Sath mere tum bhi yahi dua khuda se manga karo

SARA


DIL LUTA DIYA……………..! DIL-E-HERF

Ye jindagi jab se tumse mulaakaat hui meri
Yu laga ki khud se khud ki pehchan hui meri
Mil ke tujhse phir kabhi kisi aur ki chahat na hui
Din guzarte rahe aur zamaane ho gaye
Manzil hai ek aur do raahi chal pade
Jab se thaama hai tumne mera hatho ko
To phir kisi aur ke sath ki chahat na hui
Mehfilo me bhi aur tanhaaiyo me bhi
Bas har pal tu aur tere khayal hi yaad aate rahe
Khushiyo me ya dard bhari purwaiyo me bhi
Jabse tumne mujhe kiya hai shamil
To kisi aur ki hone ki chaaht na hui
Iss dil ne to maangi hai bas ek dua
Tu yu hi karta rahe pyar mujhse jindgi talaq
Jab se tumne mujh par apna dil luta diya hai to
Kisi aaur ke pyar ki bhi ab chaht na rahi
Pa liya hai maine bhi ab to wo sukun
Ji liya hai har wo pal jisme thi meri jindagi basi
Baad usske to ab jindagi kya hai maut ki bhi chahat na rahi
SARA

KABHI KHUD PE KABHI……………! DIL-E-HARF

Kabhi khud par to kabhi apne hi haalat par hansi aai
Tu na aaya par teri yaad mujhe hasane chali aai
Jaan hu mai teri jab itna hi khayal-e-tasavver aai
To khud par itra ke surkh gaalo par laali si chhai
Padha tha kabhi panno me pyar deewaana hota hai
Par tujhko mil ke usski kimat to aaj samjh aai
Ab kya haal-e-dil kahu humdam mere tujhse
Pal bhar ki doori teri mujhe kitne kareeb laai
Aaj jaana hai iss dil ki deewangi ka suruur
Jab aankho me mere tere khawbo ki taabir aai
Dil ki dhadkane karti hai ek tere hi naam ka sumiran
Aaine me apne chehre me teri hi chhvi paai
Khabhi mai khud par itraai kabhi aaina dekh sharmaai
Sanam teri ishq-e-nuur meri aankho me harpal pade dikhai
Hai ye mera deewanapan aur ye mohabbat ka suruurr
Ay dil-e-naadan itni si baat kyu na meri samjh aai
सारा

बेनाम SADARD……………..!

Ek benaam sa dard kyu thahar gaya hai dil me
Beete kal ki tarah woh guzar kyo nahi jaataa
Hai sukum fir bhi jaane kya dhoodhti rehati hai nigahe
Jaane kya baat hai waqt par har kaam kyu nahi kiya jaata
Kya hua hai mujhe kyu rahne lagi hu mai udas
Kyu rakhti hu ek aas jo duur hai woh dil se uttar kyo nahi jaata
Kyu ban gai hu mai apni hi uljhi hui raaho ka tamasha
Jaate hai jidhar sab mujhese udhar kyu nahi jaaya jaataa
Kyu aa jaata hai wo tasaveer me mere baar baar
Hai agar wo ek dhuundh to aankho se hat kyu nahi jaata
Na jaanu mai usse na phachanu mai usse na wo hai mera
Woh agar khawb hai to bikhar kyo nahi jaataa
Waqt ne kyu aisa sitam hai di par dhaaya ya Rab!
Meri duniya se wo duur kyo nahi chalaa jaataa
SARA

मंगलवार, 13 अक्तूबर 2009

मिलके जो

Aaj kiya phir se zikr kisi ne tumhara
Halke halke aye waqt tum yaad aane lage
Thama dil ko bahut behlaya bhi bahut
Aye waqt tum mujhe kyu rulaane lage
Palko ke darwaje ko band kiya maine jab
Aur aansu ban kar har lamhe gujarne lage
Bebasi itni ki fir se ham seham gaye
Bar bar rabba mere rabba mere kahne lage
Kabhi wada kiya tha jo taqdeer se
Aaj har kasme har wade yaad aane lage
Teri hi dhoop chhaw me guzare din
Har pal mujhe ab to tadpaane lage
Milke jo aansu bahaye the hamne
Aaj ham sath sath us dariya me bahne lage


SARA

गुरुवार, 27 अगस्त 2009

ये मुलाक़ात

Chandni raat aur mere hatho me tumhara hath
Nuur hi nuur bikhra hai harsu kitni suhani hai ye raat
Sabse juda hokar hum teri dhadkano me sama gaye
Khud ko kho diya humne na jaane kaisi hui tumse mulaakaat
Teri hatho ki laqeero me dekha hai apna naseeb
Tere hi naam se shuru hokar tujh par aake khatam ho meri har ek baat
Payar ke safar ke hum do raahi chale hai ek duje ke sath
Dil ki duniya bhi basai hai humne de ke dil ki saugaat
Falak par yu umd aaye baadal ban ke payar
Beege hum bhi raat hui kuchh aisi barsaat
Tassavvar me rahti hai hardum ban ke hum khayal
apne chand se apne mahboob se meri ye mulaakaat

मंगलवार, 11 अगस्त 2009

तेरे आना

तुमको देखा और देखती ही रही....
शाम-ओ-शहर यु ही गुज़रती रही.........
पलकों पर तेरे खवाब यु ही आती और जाती रही....
तू आया तो भी तेरे न आने के phareb में जीती और मरती रही.....

शुक्रवार, 17 जुलाई 2009

ये कैसा सावन ....

Rim-jhim rim-jhim gire sawan
Sulage aur tadpa kar kare bechain ye man
Virah ka maara dil bechara
Sah na sake ye hai kaisi tapan
Pahle bhi to barsa tha baadal
Ab ke baras kyu sulge ye tan man
Chale jab ye pawan jaane kaisi lage agan
Kaise sambhalu jab bahak-bahak jay ye man
Teri yaad aaye aur mujhe pass bulaaye
Panchhi ban ud jaau mai to gagan gagan
Bunde gire jab to jale mera tan man
Teri yaado ke sang aaya hai ye kaisa sawan

गुरुवार, 9 जुलाई 2009

तकाज़ा है बहुत

Dil ka afsaana hai aur umar ka tajurba hai bahut
Ek ghazal uspar likhu dil ka takaza hai bahut
Sham-o-shehar ho gafalato ki ghata chaai hai
Usko dekha hai kam aur socha hai bahut
Mere hatho ki inn lakiro ke izaafe hai gavah
Khud ko maine pathar ki tarah tarasha hai bahut
Waqt zalim tha aur uski zulam ki aadat bhi
Majboor hum the aur usse muhabbat bhi hai bahut
Sitam hum waqt-e-zamane ke sahte rahe
‘Sara’-e-tabiyat me chhupa rakha tha bagawat bahut
Vakeef tha wo bhi meri pak-e-muhabbat se
Khuda ke baad usne bhi ki meri inayaat bahut
Yu hi nahi mashahur zamane me hum huye
Kabhi isi fan me thi hashil hame maharat bahut
Kabhi tere ishaq ne bana diya tha nikamma mujhe
Ab hai sath tera aur Khushiyo ka daur kabhi gamo ka sumaar tha bahut

सोमवार, 6 जुलाई 2009

लगता है ..........

Tum bin jeena aisa lagat hai
Zehar ko peena jaisa lagata hai
Tum se bichhad kar jeete rahana
Humse poochho kaisa lagta hai
Tera mujhko chhod kar jaana
Aur mera tumko takate rahana
Chand ko takte rahne jisa lagata hai
Tera hans ke mujhse baate karna
Khilte phoolo jaisa lagata hai
Baadal teri muhabbat ka mere sanam
Mujh par aaj to khul ke kuchh yu barsa hai
Mano aasma ka chand bhi haya se nazre jhuka leta hai
Mera mahboob ke aage to 'Sara' jahaan jhootha lagta hai

वो आके पहलु में बैठे

Wo aake pahlu me aise baithe
Ki sham rangeen ho gai hai
Jo sham kabhi gamgeen thi
Tere aane se haseen ho gai hai
Dil khile hai sanse mahakne lagi hai
Nazare sharma-sharma ke jhukane lagi hai
Lab bhi bin bole hal-e-dil kahne lagi hai
Sanso me saanse ghulne lagi hai
Jis pal ka intzaar karte rahe hum
Pal-pal tere sath ye ghadiyan guzarne lagi hai
Mehaki mehaki si hawa bhi bahne lagi hai
‘Sara’ aalam badla yu ki chandni zami par utrne lagi hai
Raat simtkar teri banho me samane lagi hai

आपको

aapko paakar ab na rahi koi asha
kyoki ek hi thi asha aur ek hi dil ki abhilasha
jaana hai maine aapko bas aapko
aur naa jaanu main koi bhi bhasha
jab tak na mile the aap mujhko
aapko hi jaana maine har nirasha
jab mile aap to jana maine
aap hi hai mere dil ki har wo dilasha
jaise mireg dhoode kasturi van-van
swayam ko na usne kabhi talasha
aapka prem mujhe aur sugandh pushpo ki baag mahkaaye
aapko pakar maine jaana kya hai is prem ki paribhasha
'sara' gagan ye jaane sara chaman ye jaaane
ek aap hi hai mere jeevan ki har pipasa

मंगलवार, 30 जून 2009

आँचल पर

Aanchal par tera naam likhti rahti hu
Wo kahte hai tera naam to dil par likha hai
Aanchal se hi tu kyu lipti rahti hai
Sawal ye unka hardam mujhse rahta hai
Use kya khabar usko dekh ye aanchal mehka karta hai
Dil ki har dhadakan bas naam tera hi leta hai
Saanse tujhe chhune ko hi shayad chalti hai
Jab chhuye aanchal tu to mai siher si jaati hu
Samajh na paati hu ki mujh par kaisa ye tera jaadu hai
Ab to har-su tera hi jaadu chhaya hai
Sawar si gai hu mai kuchh badal si gai hu
Bin khusboo ke hi har tarf mahka karti hu
Bin shringaar ke hi saji-sawri si lagti hu
Kuchh achhi lagne lagi hu mai ab ye duniya kahti hai
Ye to bas tere hi payar ka rang hai
Raaj hai ye kya bas mera hi dil samjhta hai

SARA

रविवार, 28 जून 2009

जाने -ऐ-वफ़ा

Jindagi me aisi koi sham na aaye
Jab labo par tera naam naa aaye
Ay jaan-e-wafa ye to mumkin nahi
Afsaana likhu aur tera naam na aaye
Hoth khamosh rahte hai phir bhi
Har dua me tera hi naam aaye
Door na hona tu kabhi mujhse
Bas hotho pe yahi fariyaad aaye
Gul-o-gulishta ki kya baat
Tere liye falak se tare tood laaye
Lu jab bhi saanse to ye hawaye bhi
Sang khushabu ke tere aane ka paigaam laaye
Ek tere aa jaane se ye mahfil kya
‘SARA’ aalam hi ek noor se bhar jaaye

शनिवार, 27 जून 2009

शाम-ऐ-तन्हाई

Phir lauti sham-e-tanhaai hai
Mere maulla ! ab to jaan pe ban aai hai
Aankho me sham se hi nami hai
Ek baar phir teri kami si hai
Gum se bhara hai gulistaan hamara
Aankho me ashaq aur ruki dhadakne hai
Ginti rahengi ungliya din tere aane ke
Aankhe hai khuli aur tera intzaar hai
Ye waqt guzar jay wo pass mere aa jay
Ya Rab ! tujh se meri yahi fariyaad hai
Ho jay gulzaar ‘SARA’ gulistaan
Laut aaye jaan mera jo mere dil ka noor hai