मंगलवार, 30 जून 2009

आँचल पर

Aanchal par tera naam likhti rahti hu
Wo kahte hai tera naam to dil par likha hai
Aanchal se hi tu kyu lipti rahti hai
Sawal ye unka hardam mujhse rahta hai
Use kya khabar usko dekh ye aanchal mehka karta hai
Dil ki har dhadakan bas naam tera hi leta hai
Saanse tujhe chhune ko hi shayad chalti hai
Jab chhuye aanchal tu to mai siher si jaati hu
Samajh na paati hu ki mujh par kaisa ye tera jaadu hai
Ab to har-su tera hi jaadu chhaya hai
Sawar si gai hu mai kuchh badal si gai hu
Bin khusboo ke hi har tarf mahka karti hu
Bin shringaar ke hi saji-sawri si lagti hu
Kuchh achhi lagne lagi hu mai ab ye duniya kahti hai
Ye to bas tere hi payar ka rang hai
Raaj hai ye kya bas mera hi dil samjhta hai

SARA

रविवार, 28 जून 2009

जाने -ऐ-वफ़ा

Jindagi me aisi koi sham na aaye
Jab labo par tera naam naa aaye
Ay jaan-e-wafa ye to mumkin nahi
Afsaana likhu aur tera naam na aaye
Hoth khamosh rahte hai phir bhi
Har dua me tera hi naam aaye
Door na hona tu kabhi mujhse
Bas hotho pe yahi fariyaad aaye
Gul-o-gulishta ki kya baat
Tere liye falak se tare tood laaye
Lu jab bhi saanse to ye hawaye bhi
Sang khushabu ke tere aane ka paigaam laaye
Ek tere aa jaane se ye mahfil kya
‘SARA’ aalam hi ek noor se bhar jaaye

शनिवार, 27 जून 2009

शाम-ऐ-तन्हाई

Phir lauti sham-e-tanhaai hai
Mere maulla ! ab to jaan pe ban aai hai
Aankho me sham se hi nami hai
Ek baar phir teri kami si hai
Gum se bhara hai gulistaan hamara
Aankho me ashaq aur ruki dhadakne hai
Ginti rahengi ungliya din tere aane ke
Aankhe hai khuli aur tera intzaar hai
Ye waqt guzar jay wo pass mere aa jay
Ya Rab ! tujh se meri yahi fariyaad hai
Ho jay gulzaar ‘SARA’ gulistaan
Laut aaye jaan mera jo mere dil ka noor hai